Sunday, November 29, 2009

Ek auss ki boond…

Maati par padi hi ek auss ki boond
Raat ko chaand ki sunheri nazar mein
Andhakar ka saaya apne mein samaye
Ek pal mein khudr aur ussimein viraat
Poore aakhash ka pratibimb jhalakta hua
Uss shote se dayare mein
Mann ko ek alag sa sukoonmilta hai
Shudrata mein visaalta dek
Andhakar mein apna astitva na khota dekh
Chand ke roshniko apna banata dekh
Ek auss ki boond
Suraj ki naa garmahat na kirne
Kabhi chuyegi isse
Kale andhakar ke dhhaal mein panapti
Ek auss ki boond
Jisne apna rasta hai khud chuna
Aur apni sheetalta se ek swarachit mugdhata mein
Khud ko simoye duniya se pare
Maati ke aanchal mein
Shaant nidra praapt ki un kirno ke agaman se pehle.


(Musings in Hindi.... Not great, but i like it...)

No comments:

Post a Comment